Shahzad Ahmad

iblis bhi rakh lete hain jab nam farishte

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
iblīs bhī rakh lete haiñ jab naam farishte
maiñ kyuuñ na kahūñ mujh se bhī haiñ ḳhaam farishte
vo nuur haiñ maiñ ḳhaak huuñ lekin mire baa.is
lete nahīñ ik lamha bhī ārām farishte
tanhā.ī meñ aa jaatī haiñ hūreñ mire ghar meñ
chamkāte haiñ masjid ke dar-o-bām farishte
ik maiñ hī to huuñ rāt-ga.e jāgne vaalā
so jaate haiñ behosh sar-e-shām farishte
jannat se nikālā huā insān vahī hai
shaitān bane baiThe haiñ nākām farishte
huuñ itnā gunāhgār ki allāh ke aage
lete hue Darte haiñ mirā naam farishte
duniyā huī ābād to mere hī sabab se
anjām na de paa.e koī kaam farishte
kyā soch ke insān se sharmā.e hue haiñ
dete nahīñ dīdār sar-e-ām farishte
maiñ ek gunāhgār nasīhat kā hadaf huuñ
duniyā meñ bhī milte haiñ bahar-gām farishte
ye duḳhtar-e-raz dāna-e-gandum to nahīñ hai
chakkheñ to sahī bāda-e-gulfām farishte
yuuñ ġhaib se maiñ DhūñD ke laayā huuñ mazāmīñ
jaise koī le aa.e tah-e-dām farishte
jo baat mire dil meñ thī aa.ī hai zabāñ par
ab karte phireñge mujhe badnām farishte
'shahzād' zamāna huā lekin mirī jānib
laate nahīñ allāh kā paiġhām farishte
Top Urdushayar.com