kaun kahtā hai ki dariyā meñ ravānī kam hai
maiñ jahāñ Duub rahā huuñ vahāñ paanī kam hai
bhuul kar bhī koī suntā nahīñ rūdād mirī
vāqi.a is meñ ziyāda hai kahānī kam hai
ai ḳhudā phir mire jazboñ ko farāvānī de
zindagī-bhar ke liye ek javānī kam hai
mere lahje se mire dard kā andāza kar
merī bātoñ meñ agar talḳh-bayānī kam hai
ye mohabbat hai ki ehsās hai mahrūmī kā
merī āñkhoñ meñ bahut kuchh hai zabānī kam hai