Fiza Kausari

tamam jism ki parten juda juda karke

Fiza Kausari

tamām jism kī parteñ judā judā karke
jiye chale ga.e qistoñ meñ log mar mar ke
har ek mauj mire paañv chhū ke lauT ga.ī
kahīñ ye ḳhvāb na hoñ niiñd ke samundar ke
mirī kamān meñ haiñ nā-tavāniyāñ merī
ḳhud apnī zaat pe haiñ tiir mere tevar ke
ajab hasīn ḳhayāloñ ko zehn pāltā hai
tarāshtā hai sanam bhī to sañg marmar ke
bhaTak rahī hai kahāñ ruuh sochnā hogā
nikal ga.ī thī kabhī qaid-e-jism se Dar ke
maiñ hādsāt ko har gaam par bulātā huuñ
bahut shikasta haiñ dīvār-o-dar muqaddar ke
'fazā'! zarūr koī taaza gul khilā.egā
qalam ne ḳhuun mirā pī liyā hai jī bhar ke
Top Urdushayar.com