maiñ tasht-e-ḳhvāb liye haath meñ guzar ga.ī huuñ
samajh sakā na vo jis ke liye maiñ ghar ga.ī huuñ
bahut ajab thī samundar se guftugū lekin
pahan ke pyaas palaTne kā sabr kar ga.ī huuñ
mirā mizāj rahā dasht-āshnā shab bhar
ki din meñ bastiyāñ dekhīñ to jaise Dar ga.ī huuñ
husūl-e-ḳhvāhish-e-nāyāb garche nā-mumkin
kisī ke va.ada-e-be-āb pe Thahar ga.ī huuñ
bahut nihāl hai dil aañkh meñ hai sarmastī
lage ki shahar-e-ḳhush-anjām se guzar ga.ī huuñ
balā se bhuul ga.e vo jo āshnā the kabhī
maiñ aaj apne shabistāñ meñ be-ḳhatar ga.ī huuñ
ḳhushā hathelī pe yādoñ kā qāfila Thahrā
ḳhushā ki yaad thī aisī ḳhushī se mar ga.ī huuñ
bahut aziiz thā āshuftagī kā pairāhan
ye jaan kar dam-e-āzurdagī bikhar ga.ī huuñ
sarāb-āsā rahā vo ta.alluq-e-ḳhūbāñ
palaT palaT ke bulātā hai phir bhī Dar ga.ī huuñ