Raj Kumar Soori Nadeem

jab faraaz-e-baam par wo jalwa-gar hota nahin

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
jab farāz-e-bām par vo jalva-gar hotā nahīñ
koī aalam ho nazar meñ mo'atabar hotā nahīñ
rafta rafta ho rahā hai vo sitamgar mehrbāñ
kaun kahtā hai mohabbat meñ asar hotā nahīñ
be-vafā.ī ne kiyā hai qissa-e-ġham ko tavīl
ab kisī sūrat ye qissa muḳhtasar hotā nahīñ
kab nigāhoñ meñ nahīñ hotā tirī furqat kā ġham
kaun sā aalam hai jab dard-e-jigar hotā nahīñ
shiddat-e-ġham meñ kamī hotī nahīñ rone se kuchh
lashkar-e-ġham āñsuoñ se muntashir hotā nahīñ
ab bhī nazreñ haiñ farāz tuur par paiham magar
haa.e vo jalva ki jo bār-e-digar hotā nahīñ
rāhbar kī sāzishoñ ne vo diye haiñ ġham 'nadīm'
ab kisī sūrat yaqīn-e-rāhbar hotā nahīñ
Top Urdushayar.com