Raj Kumar Soori Nadeem

guzare tumne kaise roz-o-shab humse KHafa ho kar

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
guzāre tum ne kaise roz-o-shab ham se ḳhafā ho kar
na ham ko raas aa.ī zindagī tum se judā ho kar
faqat ahl-e-junūñ vāqif haiñ is rāz-e-haqīqat se
hayāt-e-jāvidāñ miltī hai ulfat meñ fanā ho kar
kahāñ un ke diloñ meñ vo ḳhalish soz-e-mohabbat kī
tire tīr-e-nazar se jo rahe nā-āshnā ho kar
tumhārī bevafā.ī kā fasāna har zabāñ par hai
zamāne ko dikhā do intiqāman bā-vafā ho kar
fazā.eñ mahak uTThī haiñ tirī zulfoñ kī ḳhushbū se
tire kūche se jab bhī aa.ī hai bād-e-sabā ho kar
kisī kī bū-e-pairāhan gulistāñ se guzartī hai
shamīm-e-jāñ-fizā ban kar kabhī bād-e-sabā ho kar
'nadīm' is daur meñ har gaam par ta.an-o-malāmat haiñ
bahut dushvār hai duniyā meñ jiinā bā-vafā ho kar
Top Urdushayar.com