Raj Kumar Soori Nadeem

zauq-e-sujud le gaya mujhko kahan kahan

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
zauq-e-sujūd le gayā mujh ko kahāñ kahāñ
lekin mire nasīb meñ vo āstāñ kahāñ
baḳhshā hai tere naqsh-e-qadam ne jo ḳhāk-e-kū
vo husn-e-dil-navāz sar-e-kahkashāñ kahāñ
maiñ sochtā huuñ āriz-o-gesū ko dekh kar
Thahregā sub.h-o-shām kā ye kārvāñ kahāñ
ḳhud se bhī ho sakī na mulāqāt umr-bhar
apnī talāsh le ga.ī mujh ko kahāñ kahāñ
ījād kar rahe haiñ vo jaur-o-sitam na.e
jaur-o-sitam se dabtā hai azm-e-javāñ kahāñ
merī nigāh-e-shauq gadāgar banī huī
jalvoñ kī bhiik maañg rahī hai kahāñ kahāñ
hai baaz yuuñ to ab bhī dar-e-mai-kada 'nadīm'
pahlī sī vo navāzish-e-pīr-e-muġhāñ kahāñ
Top Urdushayar.com