'nadīm' un kī zabāñ par phir hamārā naam hai shāyad
hamārī fikr meñ phir gardish-e-ayyām hai shāyad
sar-e-kū-e-butāñ jo ek amboh-e-harīfāñ hai
farāz-e-bām par ab bhī vo jalva aam hai shāyad
mire ahbāb bhī ḳhush haiñ mirī barbādī-e-dil par
sulūk-e-dostāñ logo isī kā naam hai shāyad
sar-e-mahfil nigāhoñ kā tasādum dekhne vaalo
kisī ko phir kisī se aa paḌā kuchh kaam hai shāyad
ajab andāz se aa.ī hai kuchh aThkheliyāñ kartī
shamīn-e-jāñ-fizā ke paas kuchh paiġhām hai shāyad
ḳhayāl aatā hai aksar dekh kar ruḳhsār-o-gesū ko
na aisī sub.h hai shāyad na aisī shaam hai shāyad
nazar bhī ab nahīñ uThtī hamārī samt mahfil meñ
'nadīm' īsār-o-ulfat kā yahī anjām hai shāyad