Raj Kumar Soori Nadeem

phir unki nigahon ke payam aae hue hain

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
phir un kī nigāhoñ ke payām aa.e hue haiñ
phir qalb-o-nazar baḳht pe itrā.e hue haiñ
paimāna ba-kaf baiTh ke maiḳhāne meñ saaqī
ham gardish-e-hālāt ko Thahrā.e hue haiñ
māhaul munavvar hai mo.attar haiñ fazā.eñ
mahsūs ye hotā hai ki vo aa.e hue haiñ
gesū haiñ ki barsāt kī ghanghor ghaTā.eñ
aariz haiñ ki gul duudh meñ nahlā.e hue haiñ
kyā baḳhsheñge vo anjuman-e-nāz ko zīnat
jo phuul sar-e-shāḳh hī murjhā.e hue haiñ
ho chashm-e-karam un pe bhī ai pīr-e-ḳharābāt
jo ābla-pā dar pe tire aa.e hue haiñ
hai dasht-navardī hī 'nadīm' un kā muqaddar
jo bārgah-e-husn se Thukrā.e hue haiñ
Top Urdushayar.com