Raj Kumar Soori Nadeem

naKHl-e-umid-o-arzu be-barg-o-bar hai

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
naḳhl-e-umīd-o-ārzū be-barg-o-bār hai
nākāmī-e-hayāt pe dil sharmsār hai
dāmān-e-sabr hijr meñ go tār-tār hai
va.ade kā un ke phir bhī hameñ e.atibār hai
fikr-e-jahāñ mujhe na ġham-e-rozgār hai
phir bhī na jaane kis liye dil be-qarār hai
shām-e-firāq shiddat-e-ġham be-shumār hai
mushtāq-e-dīd aañkh bhī ab ashk-bār hai
gulshan meñ un ko dekh ke mahv-e-ḳhirām-e-nāz
samjhī nigāh-e-shauq ki raqs-e-bahār hai
yuuñ to hazār baar use aazmā chuke
phir e.atibār-e-va.ada-e-ġhaflat-shi.ār hai
muddat huī hai qat-e-ta.alluq kiye 'nadīm'
us jān-e-intizār kā phir intizār hai
Top Urdushayar.com