ham gardish-e-daurāñ ke sitam dekh rahe haiñ
be-chārgī-e-ahl-e-karam dekh rahe haiñ
ham dil pe sahe jaate haiñ har tīr-e-jafā ko
hai kis kā jigar dekhe jo ham dekh rahe haiñ
hai ye to yaqīñ badlegā andāz-e-zamāna
filhāl to ham shiddat-e-ġham dekh rahe haiñ
īsār-o-muravvat haiñ jo tum dekh rahe ho
be-dād-o-taġhāful haiñ jo ham dekh rahe haiñ
hañs hañs ke sahe jaate haiñ har tāza-sitam ko
ham shiddat-e-ālām kā dukh dekh rahe haiñ
har halqa-e-zanjīr ko yuuñ chūmā nazar ne
ham jaise tirī zulf ke ḳham dekh rahe haiñ
baiThe haiñ 'nadīm' ab bhī liye hasrat-e-dīdār
phir sū-e-dar-o-bām sanam dekh rahe haiñ