vo baam pe phir jalva-numā mere liye hai
gul-bār-o-ziyā-bār fazā mere liye hai
pur-nūr huā jaatā hai har jāda-e-muġhazal
peshāni-e-sīmīñ kī ziyā mere liye hai
tā-hadd-e-nazar phail gayā rañg fazā meñ
ḳhush-rañg vo tahrīr-e-hinā mere liye hai
ruḳhsār-o-lab-o-gesū-o-abrū ke jahāñ meñ
har gaam pe ik hashr bapā mere liye hai
kuchh dard kī shiddat meñ kamī hai to sahī ab
shāyad tire hoñToñ pe duā mere liye hai
go taab nahīñ aur sitam sahne kī phir bhī
ahbāb kī har tarz-e-jafā mere liye hai
maiñ ab bhī 'nadīm' apne muqaddar pe huuñ nāzāñ
vo naqsh-e-qadam rāh-numā mere liye hai