Raj Kumar Soori Nadeem

jab tak mujhe nasib teri dosti rahi

Raj Kumar Soori Nadeem

1925
jab tak mujhe nasīb tirī dostī rahī
har jāda-e-hayāt meñ ik dilkashī rahī
dil meñ tire ḳhayāl kī tābāniyoñ ke saath
dard-e-shab-e-firāq kī bhī tīrgī rahī
yuuñ to har ek ġhamza-o-ishva thā dil-fareb
lekin vo ik nigāh jo dil par jamī rahī
phir is ke ba.ad ho ga.ī tārīk rāh-e-zīst
jab tak tumhārā saath rahā raushnī rahī
saaqī tirī navāzish-e-paiham ke bāvajūd
mahsūs ye huā ki abhī tishnagī rahī
tum kyā ga.e ki zindagī be-kaif ho ga.ī
jab tak ki tum qarīb rahe be-ḳhudī rahī
thā ik hujūm-e-yās jo baḌhtā gayā 'nadīm'
mahrūm-e-imbisāt mirī zindagī rahī
Top Urdushayar.com