jin kī hasrat meñ dil-e-rusvā ne ġham khaa.e bahut
sañg ham par in darīchoñ ne hī barsā.e bahut
raushnī ma.adūm gahre ho chale saa.e bahut
jaane kyuuñ tum aaj kī shab mujh ko yaad aa.e bahut
qismat-e-ahl-e-qafas phūloñ kī ḳhushbū bhī nahīñ
yuuñ to gulshan meñ sabā ne phuul mahkā.e bahut
log is ko bhī agar kahte haiñ to kah leñ bahār
muskurā.e kam shagūfe aur murjhā.e bahut
ek aañsū bhī gire to guuñj uThtī hai zamīñ
aaj to ham apnī tanhā.ī se ghabrā.e bahut
ek rasm-e-sarfaroshī thī so ruḳhsat ho ga.ī
yuuñ to dīvāne hamāre ba.ad bhī aa.e bahut
ishrat-e-hastī pe thī 'mahtāb' duniyā kī nazar
dil ko kyā kahiye ki us ne dard apnā.e bahut