Kishwar Naheed

hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
havā kuchh apne savāl tahrīr dekhtī hai
ki bādaloñ ko bhī misl-e-zanjīr dekhtī hai
mujhe bulātā hai phir vahī shahr-e-nā-murādī
ki aarzū ābloñ meñ tasvīr dekhtī hai
jo kashtiyoñ meñ na baiTh paa.e vo ghar na pahuñche
safar kī tā.īd shām-e-taqsīr dekhtī hai
bahut dinoñ meñ sitam ke dariyā kā zor TuuTā
sarisht-e-shab bhī barahna ta.azīr dekhtī hai
samundaroñ kā uruuj phir ret ban gayā hai
shahāb-e-sāqib meñ raat tafsīr dekhtī hai
havā chalī thī pa shahr-e-jāñ ke the dar muqaffal
ye aañkh apne hī ḳhvāb tāḳhīr dekhtī hai
subū liye tishnagī khaḌī thī ye jāntī thī
ki jāñ-faroshoñ ko qaus-e-shamshīr dekhtī hai
niyābat-e-shahr un ke hāthoñ meñ ab na hogī
kamān-dāroñ ko shab kī zanjīr dekhtī hai
Top Urdushayar.com