tirā husn hai vo sahbā ki koī misāl kyā de
kabhī tishnagī bujhā de kabhī tishnagī baḌhā de
ye jahāñ hai ik tamāsha koī dost hai na dushman
vahī aag raushnī de vahī āshiyāñ jalā de
ye tarīq-e-dilbarī hai ki adā-e-dil-navāzī
kisī jurm par navāze kisī jurm par sazā de
abhī zulmat-e-ḳhirad meñ hai vafā kī tābnākī
ye charāġh bujh na jaa.e koī is kī lau baḌhā de
ye qadam qadam pe zulmat ye ravish ravish añdhere
mirī be-ḳhudī kahāñ hai mujhe rāsta batā de
ye tasavvur-e-rihā.ī rahe kyuuñ nazar meñ 'gauhar'
mujhe qaid karne vaale mire bāl-o-par jalā de