kabhī shu.ūr kabhī dil kabhī suḳhan mahke
kaho vo sher ki duniya-e-fikr-o-fan mahke
atā hameñ bhī jo ho jaa.e 'mīr' kā andāz
to lafz lafz se ma.anī kā pairahan mahke
rahūñ ḳhamosh to phūloñ ko niiñd aa jaa.e
paḌhūñ jo sher to lafzoñ kā bāñkpan mahke
larazte hoñToñ kī vo guftugū to yaad nahīñ
bas itnā yaad hai barsoñ lab-o-dahan mahke
dabī huī hai jo sadiyoñ se ġham kī chiñgārī
bhaḌak uThe to ḳhayāloñ kī anjuman mahke
kabhī to aisā zamāna bhī aa.e ai 'gauhar'
mohabbatoñ kī fazā se mirā vatan mahke