Mohammad Aftab Ahmad Saqib

ban-sanwar kar jo wo bazar nikal jate hain

Mohammad Aftab Ahmad Saqib

ban-sañvar kar jo vo bāzār nikal jaate haiñ
dekhne vāloñ ke jazbāt machal jaate haiñ
har taraf hotā hai mushtāq nigāhoñ kā hujūm
dil taḌapte hue sīnoñ se nikal jaate haiñ
barq girtī hai jidhar aañkh uThā kar dekheñ
hiddat-e-husn se a.asāb pighal jaate haiñ
achchhe lagte haiñ hasīñ log hamāre dil ko
ġham ke maare hue ham log bahal jaate haiñ
sair ko aate haiñ gulshan meñ raqīboñ kī tarah
phuul saare vo gulistāñ ke masal jaate haiñ
pur-kashish jitne haiñ us shoḳh javānī ke nuqūsh
saare naqshe mire ash.ār meñ Dhal jaate haiñ
jaane kyuuñ log taraste haiñ bahāroñ ke liye
ham to ehsās kī shiddat hī se jal jaate haiñ
ek halchal sī machā detī hai sūrat un kī
chiknī miTTī pe mire paañv phisal jaate haiñ
raat bhar ye dil-e-vahshī nahīñ sotā 'sāqib'
soch ke rañg añdhere meñ badal jaate haiñ
Top Urdushayar.com