Mohammad Ajmal Niyazi

gahri aaankhon mein ye kaisi hai bichhaDti mahfilon ki raushni

Mohammad Ajmal Niyazi

1946
gahrī ā.ankhoñ meñ ye kaisī hai bichhaḌtī mahfiloñ kī raushnī
ajnabī logoñ meñ dekhī maiñ ne apne dostoñ kī raushnī
manziloñ par vo pahuñch kar bhī abhī tak manziloñ jaisā nahīñ
us kī sochoñ se bañdhī hai rāste ke manzaroñ kī raushnī
us ke mere darmiyāñ pākīzgī kā raqs to hotā nahīñ
ek parde kī tarah rahtī hai nañgī ḳhvāhishoñ kī raushnī
maiñ ne us ko ḳhvāb meñ dekhā to vo ik aur hī duniyā meñ thā
us ke har jānib bikhartī jā rahī thī rat-jagoñ kī raushnī
ab to us kā dard bhī 'ajmal' samundar kī tarah gahrā nahīñ
is jazīre meñ bhaTaktī hai akele sāhiloñ kī raushnī
Top Urdushayar.com