Mohammad Ajmal Niyazi

bikharti KHak mein koi KHazana DhunDhti hai

Mohammad Ajmal Niyazi

1946
bikhartī ḳhaak meñ koī ḳhazāna DhūñDhtī hai
thakī-hārī zamīñ apnā zamāna DhūñDhtī hai
shajar kaTte chale jaate haiñ dil kī bastiyoñ meñ
tirī yādoñ kī chiḌiyā āshiyāna DhūñDhtī hai
yaqīñ kī sar-zamīñ zāhir huī ujḌe lahū meñ
ye arz-e-be-vatan apnā tarāna DhūñDhtī hai
bhaTaktī hai tujhe milne kī ḳhvāhish mahfiloñ meñ
ye ḳhvāhish ḳhvāhishoñ meñ āstāna DhūñDhtī hai
tire ġham kā ḳhumār utrā adhūrī kaifiyat meñ
ye kaifiyyat koī mausam purānā DhūñDhtī hai
bikhartā huuñ judā.ī kī akelī vus.atoñ meñ
ye vīrānī mire ghar meñ Thikāna DhūñDhtī hai
mirī miTTī sajā.ī jā rahī hai āñganoñ meñ
ye rastoñ par taḌapne kā bahāna DhūñDhtī hai
Top Urdushayar.com