Mohammad Ajmal Niyazi

hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the

Mohammad Ajmal Niyazi

1946
ham akele hī sahī shahr meñ kyā rakhte the
dil meñ jhāñko to ka.ī shahr basā rakhte the
ab kise dekhne baiThe ho liye dard kī zau
uTh ga.e log jo āñkhoñ meñ hayā rakhte the
is tarah taaza ḳhudāoñ se paḌā hai paalā
ye bhī ab yaad nahīñ hai ki ḳhudā rakhte the
chhīn kar kis ne bikherā hai shuāoñ kī tarah
raat kā dard zamāne se bachā rakhte the
le ga.iiñ jaane kahāñ garm havā.eñ un ko
phuul se log jo dāman meñ sabā rakhte the
kal jo dekhā to vo āñkhoñ meñ liye phirtā thā
haa.e vo chiiz ki ham sab se chhupā rakhte the
taaza zaḳhmoñ se chhalak uTThīñ purānī Tīseñ
varna ham dard kā ehsās nayā rakhte the
ye jo rote haiñ liye aañkh meñ TuuTe taare
apne chehre pe kabhī chāñd sajā rakhte the
aaj vo shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah haiñ 'ajmal'
kal talak shahr meñ jo dhuum machā rakhte the
Top Urdushayar.com