kaisī āshuftagī-e-sar hai yahāñ
raas sahrā yahāñ na ghar hai yahāñ
ek ġham hai ki be-mudāvā hai
ek ronā ki umr bhar hai yahāñ
jo bhī kāvish hai be-sila be-sūd
jo shajar hai vo be-samar hai yahāñ
ik masāfat ki tai nahīñ hotī
manziloñ manziloñ safar hai yahāñ
yuuñ rivāyat se kaT ga.e lekin
tajraba jo hai talḳh-tar hai yahāñ