Asif Jamal

sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai

Asif Jamal

sahrā se bhī vīrāñ mirā ghar hai ki nahīñ hai
is tarah se jiinā bhī hunar hai ki nahīñ hai
ye duniyā basā.ī hai jo ik be-ḳhabarī kī
is meñ kahīñ yādoñ kā guzar hai ki nahīñ hai
hai jism ke zindāñ meñ vahī ruuh kī fariyād
is karb-e-musalsal se mafar hai ki nahīñ hai
dīvār ke saa.e ne tumheñ rok liyā thā
ab himmat-e-īmā-e-safar hai ki nahīñ hai
jis ke liye be-ḳhvāb rahā kartī haiñ āñkheñ
vo aañkh bhī āshufta magar hai ki nahīñ hai
ham shola-e-jāñ tez havāoñ se bachā kar
zinda haiñ magar us ko ḳhabar hai ki nahīñ hai
ab kaun rahā hai jo hameñ itnī ḳhabar de
jo haal idhar hai vo udhar hai ki nahīñ hai
Top Urdushayar.com