Gauhar Usmani

mizaj-e-mustaqil dena shuur-e-moatabar dena

Gauhar Usmani

Moradabad, Uttar pradesh, India

1924-2004
mizāj-e-mustaqil denā shu.ūr-e-mo.atabar denā
jhukā paa.e na jis ko vaqt kā tūfāñ vo sar denā
mujhe umr-e-ḳhizar denā ki umr-e-muḳhtasar denā
mire afkār lekin zinda-e-jāved kar denā
jo uTThe samt-e-māzī vo nazar merā nahīñ hāsil
pas-e-dīvār-e-mustaqbil jo dekhe vo nazar denā
mujāhid jañg ke maidāñ ko jaa.e jis tarah ghar se
ye manzar zehn meñ rakh kar mujhe izn-e-safar denā
agar is razm-gāh-e-dahr meñ jiinā hī hai mujh ko
to phir in yūrishoñ meñ zinda rahne kā hunar denā
sivā ho jaa.e jis se azmat-e-dīda-varī 'gauhar'
nazar denā to yārab phir mujhe aisī nazar denā
Top Urdushayar.com