Asif Jamal

aankh be-KHwab hui hai kaisi

Asif Jamal

aañkh be-ḳhvāb huī hai kaisī
ye havā ab ke chalī hai kaisī
tū mirī yaad meñ rotā to nahīñ
ye havāoñ meñ namī hai kaisī
saaya hai aur kashīda kitnā
dhuup hai aur kaḌī hai kaisī
kaisā soyā hai muqaddar apnā
aur zamīñ ghuum rahī hai kaisī
rasm-e-duniyā hai jise jaanā hai
ham pe uftād paḌī hai kaisī
guñg haiñ zinda-dilān-e-lahore
rasm-e-pursish bhī uThī hai kaisī
Top Urdushayar.com