vo be-hunar huuñ ki hai zindagī vabāl mujhe
kamāl gar nahīñ detā to de zavāl mujhe
vo bad-gumān huā huuñ ki e'tibār uThā
sadāqatoñ pe bhī kyā kyā haiñ ehtimāl mujhe
maiñ apne aap ko pahchānñe se Dartā huuñ
tabāh kar ga.ī ye gard-e-māh-o-sāl mujhe
ġhazab huā tirī yādoñ ne saath chhoḌ diyā
hanūz merī mohabbat hai ik savāl mujhe
ye kyā huā ki havas kī giraft tañg huī
maiñ tujh se haath chhuḌāne ko huuñ sambhāl mujhe
vo fāsle haiñ ki āñkhoñ meñ ḳhvāb nāchte haiñ
milī firāq meñ bhī lazzat-e-visāl mujhe
vo bevafā hai to is kā bhī ġham bahut hai magar
maiñ bā-vafā huuñ to is kā bhī hai malāl mujhe