bhūle hue haiñ sab ki hai kār-e-jahāñ bahut
lekin vo ek yaad hai dil par garāñ bahut
kuchh raftagāñ ke ġham ne bhī rakkhā hameñ niDhāl
kuchh sadma-hā-e-nau se rahe nīm-jāñ bahut
ham ko na zulf-e-yār na dīvār se ġharaz
ham ko to yād-e-yār kī parchhā.iyāñ bahut
vo sard-mehriyāñ ki hameñ raakh kar ga.iiñ
sunte haiñ pahle ham bhī the ātish-ba-jāñ bahut
ik mauj-e-fitna-sar ki ravāñ har nafas meñ hai
har dam yaqīñ se pahle uThe haiñ gumāñ bahut
ab ke junūñ meñ mauj-e-sabā kā bhī haath hai
mauj-e-sabā ki ab ke uThī sargirāñ bahut
ab ye ḳhabar nahīñ vo samundar hai yā sarāb
apne yahāñ hai tishnagī-e-jism-o-jāñ bahut
sahrā se varna apnā ilāqa nahīñ hai kuchh
āshuftagī-e-sar kī havā hai yahāñ bahut