Syed Anwar Ahmad

rahat ke waste na rifaqat ke waste

Syed Anwar Ahmad

rāhat ke vāste na rifāqat ke vāste

ab koī mujh ko chāhe to chāhat ke vāste

ye iḳhtilāf-e-fikr bahut kaam aa.egā

is ko bachā ke rakh kisī saa.at ke vāste

donoñ ko is jahān meñ sach talāsh thī

itnā bahut thā ham meñ rifāqat ke vāste

maiñ ḳhvāhish-e-qayām se aage nikal gayā

ab mujh ko mat pukār iqāmat ke vāste

manzil mirī safar hai mirā zād-e-rāh bhī

maiñ chal rahā huuñ aaj masāfat ke vāste

vo saañp thā aur us ko sapere se pyaar thā

itnā bahut thā us halākat ke vāste

Top Urdushayar.com