Gauhar Usmani

ba-juz KHayal-e-gham-e-mohabbat koi mera ham-safar nahin hai

Gauhar Usmani

Moradabad, Uttar pradesh, India

1924-2004
ba-juz ḳhayāl-e-ġham-e-mohabbat koī mirā ham-safar nahīñ hai
maiñ ab vahāñ se guzar rahā huuñ jahāñ kisī kā guzar nahīñ hai
alam bhī kab saath chhoḌ jaa.e kisī ko us kī ḳhabar nahīñ hai
bahār to phir bahār Thahrī ḳhizāñ bhī ab mo'atabar nahīñ hai
fazā.eñ nik.hat meñ Dhal rahī haiñ vafā kā iqrār ho rahā hai
ḳhud apne jalvoñ meñ vo bhī gum haiñ hameñ bhī apnī ḳhabar nahīñ hai
mujhe haqīqat se vāsta hai naqīb-e-fitrat huuñ maiñ azal se
ḳhizāñ ko fasl-e-bahār kah duuñ ye merā zarf-e-nazar nahīñ hai
Top Urdushayar.com