ye kaise ḳhauf hameñ aaj phir satāne lage
hamāre paas raho tum ki dil Thikāne lage
ġhubār-e-shahr se bāhar tirī rifāqat meñ
sukūt-e-shām ke lamhe baḌe suhāne lage
kabhī jo lauT ke aa.e kisī masāfat se
to apne shahr ke manzar vahī purāne lage
sazā ke ḳhauf se kyuuñ is qadar laraztā hai
kar aisā jurm ki rahmat bhī muskurāne lage
ye kā.enāt to ujlat meñ mil ga.ī thī mujhe
magar talāsh meñ apnī ka.ī zamāne lage
zahe nasīb mirā fan maqām pā hī gayā
hasīn hoñT mire giit gungunāne lage