jo maal us ne sameTā thā vo bhī saarā gayā
vo ḳhvāhishoñ ke tasādum meñ aaj maarā gayā
ḳhumār-e-ishq kī ġhārat-garī hai donoñ taraf
hamārī umr ga.ī aur sukūñ tumhārā gayā
biphartī mauj ke aage ye kis ko yaad rahā
kahāñ pe naav ga.ī aur kahāñ kinārā gayā
bas ek jaan bachī hai chalo nisār kareñ
sunā hai naam hamārā hī phir pukārā gayā
zamīñ pe us kī ḳhabar hai koī na hai parvā
falak se TuuT gayā to kahāñ sitārā gayā
sabā ke haath shab-e-hijr ke guzarte hī
tumhārī samt meñ ashkoñ kā goshvārā gayā
vo peḌ TuuT gayā to mujhe kuchh aisā lagā
ki jaise apnī mohabbat kā isti.ārā gayā
har ek naqsh tirī yaad se munavvar thā
maiñ apne maazī meñ kal raat jab dobāra gayā