jaise ki ik frame ho tasvīr ke baġhair
ham-ḳhvāb dekhte rahe ta.abīr ke baġhair
lāzim nahīñ ki pyaar meñ rishta ho jism kā
ḳhushbū hai saath phuul ke zanjīr ke baġhair
koshish to kar ke dekhnā taqdīr kuchh bhī ho
mat haar mānñā kabhī tadbīr ke baġhair
mulkoñ kī fikr chhoḌ ke qabza diloñ pe kar
mil jā.egā jahān ye tasḳhīr ke baġhair
hālāt kā dabāv hai imdād sab qubūl
lekin safed-posh huuñ tash.hīr ke baġhair
vaa.iz kare hai nekiyāñ lālach meñ huur kī
tab hī to us kī baat hai tāsīr ke baġhair