Kishwar Naheed

kabhi bhulaya nahin yaad bhi kiya nahin hai

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
kabhī bhulāyā nahīñ yaad bhī kiyā nahīñ hai
ye kaisā jurm hai jis meñ koī sazā nahīñ hai
maiñ baat baat pe rone kā mājrā pūchhūñ
vo hañs rahā hai batāne ko kuchh rahā nahīñ hai
zamīñ pe āh-o-bukā aur ḳhūn-e-nāhaq bhī
zabān-e-ḳhalq ye pūchhe hai kyā ḳhudā nahīñ hai
kalām karne ko nāseh rahā na vaa.iz hai
maiñ kyā kahūñ ki mire paas bad-duā nahīñ hai
bas ab to aañkh meñ sahrā hī jam gayā aa ke
samajh lo ḳhvāb bhī dahlīz pe rakhā nahīñ hai
qadam qadam pe vahī tilmilātī ḳhvāhish hai
payām laane ko koī bhī dilrubā nahīñ hai
mirī udāsī mire kaam aa sakī na kabhī
bas ab savāl bhī karne kā hausla nahīñ hai
raqīb-e-ḳhvāhish-e-maujūda sun liyā tū ne
chaman bahut haiñ magar koī dekhtā nahīñ hai
Top Urdushayar.com