yārab dil-o-nazar pe musallat kabhī na ho
vo be-ḳhudī ki jis meñ shu.ūr-e-ḳhudī na ho
itnā na duur jaao had-e-iḳhtilāf se
mumkin hai phir vahāñ se kabhī vāpsī na ho
dil meñ ḳhulūs ho to ho ik mustaqil ḳhulūs
vo kyā ḳhulūs hai jo kabhī ho kabhī na ho
tark-e-ta.alluqāt kī ik shart ye bhī thī
dil TuuT jaa.e aur koī āvāz bhī na ho
jī chāhtā hai phūloñ se kuchh guftugū karūñ
phir sochtā huuñ bād-e-sabā dekhtī na ho
'gauhar' dil-o-nigāh meñ ik fasl to rahe
lekin dil-o-nazar kā tasādum kabhī na ho