Yusuf Zafar

shahr lagta hai bayaban mujhe

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
shahr lagtā hai bayābān mujhe
kahīñ miltā nahīñ insān mujhe
maiñ tirā naqsh-e-qadam huuñ ai dost
apne andāz se pahchān mujhe
maiñ tujhe jaan samajh baiThā huuñ
apne saa.e kī tarah jaan mujhe
tū kahāñ hai ki tire parde meñ
liye phirtā hai tirā dhyān mujhe
terī ḳhushbū ko sabā laa.ī thī
kar ga.ī aur pareshān mujhe
sar-o-sāmān-e-do-ālam huuñ maiñ
kyuuñ kaho be-sar-o-sāmān mujhe
merī hastī tirā afsāna thī
maut ne de diyā unvān mujhe
dil kī dhaḌkan pe gumāñ hotā hai
DhūñDhtā hai koī har-ān mujhe
maiñ bhī ā.īna huuñ terā lekin
tū ne dekhā kabhī hairān mujhe
un kī nisbat kā karishma hai 'zafar'
kahte haiñ yūsuf-e-kan.ān mujhe
Top Urdushayar.com