yaaro har ġham ġham-e-yārāñ hai qarīb aa jaao
pyāro phir fasl-e-bahārāñ hai qarīb aa jaao
duur ho kar bhī sunīñ tum ne hikāyāt-e-vafā
qurb meñ bhī vahī unvāñ hai qarīb aa jaao
ham mohabbat ke musāfir haiñ kahīñ dekh na le
ghaat meñ gardish-e-daurāñ hai qarīb aa jaao
jaao ab jaao ki vo ahd-e-vafā ḳhatm huā
jab bhī dekho ki phir imkāñ hai qarīb aa jaao
aaj duniyā ko nahīñ apne ġhamoñ se fursat
aaj mil baiThnā āsāñ hai qarīb aa jaao
mere hī pahlū-e-sozāñ meñ sukūñ mumkin hai
chār-sū gardish-e-daurāñ hai aa jaao
maiñ zamāne kī kaḌī dhuup kā maarā huuñ 'zafar'
tum jahāñ ho chamanistāñ hai qarīb aa jaao