Yusuf Zafar

kya DhunDne aae ho nazar mein

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
kyā DhūñDne aa.e ho nazar meñ
dekhā hai tumhīñ ko umr-bhar meñ
me.ayār-e-jamāl-o-rañg-o-bū the
vo jab tak rahe merī chashm-e-tar meñ
ab ḳhvāb-o-ḳhayāl ban ga.e ho
ab dil meñ raho, raho nazar meñ
vo rañg tumhāre kaam aayā
uḌtā hai jo ġham kī dopahar meñ
haa.e ye tavīl o sard rāteñ
aur ek hayāt-e-muḳhtasar meñ
ab sūrat-e-hāl ban gayā huuñ
miltā huuñ nigāh-e-chārāgar meñ
yā aur sitāre aur shabnam
yā mar raheñ dāman-e-sahar meñ
yā manzil-e-mahr-o-māh bhī hai
yā rāh-e-farār hai safar meñ
vo bhī to 'zafar' se ḳhush nahīñ haiñ
rahte haiñ jo dīda-e-'zafar' meñ
Top Urdushayar.com