be-talab ek qadam ghar se na bāhar jā.ūñ
varna maiñ phāñd ke hī saat samundar jā.ūñ
dāstāneñ haiñ makānoñ kī zabānoñ pe raqam
paḌh sakūñ maiñ to makānoñ se bayāñ kar jā.ūñ
maiñ munazzim se bhalā kaise karūñ samjhautā
Dūbne vaale sitāroñ se maiñ kyuuñ Dar jā.ūñ
ruuh kyā aa.e nazar jism kī dīvāroñ meñ
in ko Dhā.ūñ to us ā.īne ke andar jā.ūñ
aur do chaar masā.ib kī kasar baaqī hai
ye uThā lā.ūñ to maiñ duniyā ke safar par jā.ūñ
zahr hai mere rag-o-pai meñ mohabbat shāyad
apne hī Dañk se bichchhū kī tarah mar jā.ūñ
thak ke patthar kī tarah baiThā huuñ raste meñ 'zafar'
jaane kab uTh sakūñ kyā jāniye kab ghar jā.ūñ