Yusuf Zafar

hai gulu-gir bahut raat ki pahnai bhi

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
hai gulū-gīr bahut raat kī pahnā.ī bhī
terā ġham bhī hai mujhe aur ġham-e-tanhā.ī bhī
dasht-e-vahshat meñ ba-juz-reg-e-ravāñ koī nahīñ
aaj kal shahr meñ hai lāla-e-sahrā.ī bhī
maiñ zamāne meñ tirā ġham huuñ ba-unvān-e-vafā
zindagī merī sahī hai tirī rusvā.ī bhī
aaj tū ne bhī mire haal se muñh pher liyā
aaj nam-nāk huī chashm-e-tamāshā.ī bhī
ab khulā hai ki tirā husn-e-taġhāful thā karam
garche kuchh der tabī.at mirī ghabrā.ī bhī
juz-ġham-e-dahr mujhe koī na pahchān sakā
tire kūche meñ tirī yaad mujhe laa.ī bhī
un kī mahfil meñ 'zafar' log mujhe chāhte haiñ
vo jo kal kahte the dīvāna bhī saudā.ī bhī
Top Urdushayar.com