maiñ huuñ tere liye benām-o-nishāñ āvāra
zindagī mere liye tū hai kahāñ āvāra
tujh se kaT kar koī dekhe to kahāñ pahuñchā huuñ
jaise naddī meñ koī sañg-e-ravāñ āvāra
tujh ko dekhā hai kahīñ tujh ko kahāñ dekhā hai
vahm hai sar-ba-garebāñ o gumāñ āvāra
dair-o-ka.aba kī rivāyāt se inkār nahīñ
aao do din to phireñ na.ara-zanāñ āvāra
tere dāman kī tarah dāman-e-shab raḳhshanda
mere ashkoñ kī tarah kaun-o-makāñ āvāra
jalte-bujhte haiñ har ik gaam pe tābinda nujūm
koī hai aaj sar-e-kāhkashāñ āvāra
bhīgī rātoñ meñ 'zafar' phirtā hai tanhā tanhā
aah vo soḳhta-dil soḳhta-jāñ āvāra