paanī ko aag kah ke mukar jaanā chāhiye
palkoñ pe ashk ban ke Thahar jaanā chāhiye
saut-o-suḳhan ke dā.ere tahlīl ho ga.e
qaus-e-nazar se dil meñ utar jaanā chāhiye
ehsās kī zabāñ ko luġhat se nikāl kar
ma.anī kī sarhadoñ se guzar jaanā chāhiye
duniyā kī vus.ateñ haiñ ba-andāza-e-nazar
ye dekhne kā kaam hai kar jaanā chāhiye
tanhā nazar pe kījiye kis dil se e'tibār
dil ko bhī tā-ba-hadd-e-nazar jaanā chāhiye
ġham-hā-e-zindagī se na thā umr bhar farāġh
ab kuchh to zindagī ko sañvar jaanā chāhiye
jā.ūñ kahāñ ki ḳhud mirī rāheñ safar meñ haiñ
rāheñ safar meñ hoñ to kidhar jaanā chāhiye
zanjīr-e-makāñ hai jahāñ husn-e-lā-makāñ
us anjuman meñ bār-e-digar jaanā chāhiye
zamzam harīm-ka.aba meñ hai māmtā kā dil
hai shart-e-zīst Duub ke mar jaanā chāhiye
jaañ ho agar matā-e-talab se azīz-tar
parvānoñ ko charāġh se Dar jaanā chāhiye
yaaro sunā hai aap meñ gum ho gayā 'zafar'
is ḳhānumāñ-ḳharāb ke ghar jaanā chāhiye