Yusuf Zafar

jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
jis kā badan hai ḳhushbū jaisā jis kī chaal sabā sī hai
us ko dhyān meñ lā.ūñ kaise vo sapnoñ kā baasī hai
phūloñ ke gajre toḌ ga.ī ākāsh pe shaam salonī shaam
vo raajā ḳhud kaise hoñge jin kī ye chanchal daasī hai
kaalī badriyā siip siip to buuñd buuñd se bhar jā.egā
dekh ye bhūrī miTTī to bas mere ḳhuun kī pyāsī hai
jañgal mele aur shahroñ meñ dharā hī kyā hai mere liye
jag jag jis ne saath diyā hai vo to merī udāsī hai
lauT ke us ne phir nahīñ dekhā jis ke liye ham jiite haiñ
dil kā bujhānā ik andher hai yuuñ to baat zarā sī hai
chāñd-nagar se aane vaalī miTTī kañkar rol ke laa.e
dhartī-māñ chup hai jaise kuchh soch rahī ho ḳhafā sī hai
har raat us kī bāteñ sun kar tujh ko niiñd aatī hai 'zafar'
har raat usī kī bāteñ chheḌeñ ye to ajab biptā sī hai
Top Urdushayar.com