terī tasvīr ko dhuñdlā nahīñ hone deñge
zindagī ham tujhe rusvā nahīñ hone deñge
sar pe har lamha raheñge tire āñchal kī tarah
tū ġhazal hai tujhe tanhā nahīñ hone deñge
jin makānoñ se hai mansūb ḳhudā kī azmat
un makānoñ meñ añdherā nahīñ hone deñge
jaan jaatī hai chalī jaa.e balā se lekin
ham mohabbat ko tamāshā nahīñ hone deñge
jin ko saa.e meñ gunāhoñ ko panāheñ mil jaa.eñ
un fasīloñ ko ab ūñchā nahīñ hone deñge
paar kar le jo qanā.at kī hadoñ ko 'gauhar'
itnā dāman ko kushāda nahīñ hone deñge