vo merī jaan hai dil se kabhī judā na huā
ki us kā ġham hī mirī ziist kā bahā na huā
nazar ne jhuk ke kahā mujh se kyā dam-e-ruḳhsat
maiñ sochtā huuñ ki kis dil se vo ravāna huā
nam-e-sabā mai-e-mahtāb itr-e-zulf-e-shamīm
vo kyā gayā ki koī kārvāñ ravāna huā
vo yaad yaad meñ jhalkā hai aa.ine kī tarah
is aa.ine meñ kabhī apnā sāmnā na huā
vo chand sā.ateñ jo us ke saath guzrī haiñ
unhī kā daur rahā aur jāvedāna huā
maiñ us ke hijr kī tārīkiyoñ meñ Duubā thā
vo aayā ghar meñ mire aur charāġh-e-ḳhāna huā
vo lauT aayā hai yā merī ḳhud-farebī hai
nigāh kahtī hai dekhe use zamāna huā
maiñ apne dard kī nisbat ko dil samajhtā huuñ
qafas jo TuuT gayā merā āshiyāna huā
usī kī yaad hai sarmāya-e-hayāt 'zafar'
nahīñ to merā hai kyā maiñ huā huā na huā