ta.amīr-e-zindagī ko numāyāñ kiyā gayā
taḳhrīb-e-kā.enāt kā sāmāñ kiyā gayā
gulshan kī shāḳh shāḳh ko vīrāñ kiyā gayā
yuuñ bhī ilāj-e-tañgi-e-dāmāñ kiyā gayā
kho.e ho.uuñ pe terī nazar kī navāzisheñ
ā.īna de ke aur bhī hairāñ kiyā gayā
āvārgī-e-zulf se āsūdgī milī
āsūdgī milī ki pareshāñ kiyā gayā
vo ḳhush-nasīb huuñ ki ġham-e-iltifāt se
mere ġham-e-hayāt kā darmāñ kiyā gayā
tanhā.iyāñ bichhā ke jahān-e-ḳharāb meñ
mere liye nigāh kā sāmāñ kiyā gayā
phailā ke be-sabātī-e-ālam kī dāstāñ
mujh par harām kaif-e-bahārāñ kiyā gayā
bhaḌkā ke ātish-e-ruḳh-e-jānāñ kī aarzū
mujh ko rahīn-e-ātish-e-daurāñ kiyā gayā
naumīdī-e-talab pe chaḌhā ke talab kā rañg
ummīd-e-dīd-e-dost ko arzāñ kiyā gayā
ye bhī karam ki mujh ko shabān-e-siyāh meñ
māmūr-e-dil-navāzī-e-hijrāñ kiyā gayā
jam.iyyat-e-jamāl kā husn-e-kamāl dekh
āḳhir yahī huā ki pareshāñ kiyā gayā
de kar chaman ko bahār-o-ḳhizāñ kā rañg
mere ḳhayāl-o-ḳhvāb pe ehsāñ kiyā gayā
aa aur kā.enāt ke phūloñ kī daad de
jin se tirā jamāl numāyāñ kiyā gayā