Yusuf Zafar

yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
yaaro har ġham ġham-e-yārāñ hai qarīb aa jaao
pyāro phir fasl-e-bahārāñ hai qarīb aa jaao
duur ho kar bhī sunīñ tum ne hikāyāt-e-vafā
qurb meñ bhī vahī unvāñ hai qarīb aa jaao
ham mohabbat ke musāfir haiñ kahīñ dekh na leñ
dhaat meñ gardish-e-daurāñ hai qarīb aa jaao
jaan pyārī hai ki tum bhī ho mirī jaan ke saath
ġham-e-jāñ hī ġham-e-jānāñ hai qarīb aa jaao
aaj duniyā ko nahīñ apne ġhamoñ se fursat
aaj mil baiThnā āsāñ hai qarīb aa jaao
kis muravvat pe zamāne se Dareñ duur raheñ
aao allāh nigahbāñ hai qarīb aa jaao
mere hī pahlū-e-sozāñ meñ sakūñ mumkin hai
chār-sū gardish-e-daurāñ hai qarīb aa jaao
jaao ab jaao ki vo ahd-e-vafā ḳhatm huā
jab bhī dekho ki phir imkāñ hai qarīb aa jaao
maiñ zamāne kī kaḌī dhuup kā maarā huuñ 'zafar'
tum kahāñ ho chamanistāñ hai qarīb aa jaao
Top Urdushayar.com