ai be-ḳhabarī jī kā ye kyā haal hai kal se
rone meñ mazā hai na bahaltā hai ġhazal se
is shahr kī dīvāroñ meñ hai qaid mirā ġham
ye dasht kī pahnā.ī meñ haiñ yādoñ ke jalse
bātoñ se sivā hotī hai kuchh vahshat-e-dil aur
ahbāb pareshāñ haiñ mire tarz-e-amal se
tanhā.ī kī ye shaam udāsī meñ Dhalī hai
uThtā hai dhuāñ phir mire ḳhvāboñ ke mahal se
rātoñ kī hai taqdīr tirā chāñd sā chehra
nazroñ meñ hai tasvīr tire nain kañval se