maiñ lipaTtā rahā huuñ ḳhāroñ se
tum ne pūchhā nahīñ bahāroñ se
chāñdnī se sahāb-pāroñ se
jī bahaltā hai yādgāroñ se
aa mire chāñd raat suunī hai
baat bantī nahīñ sitāroñ se
manzil-e-zindagī hai kitnī duur
pūchh letā huuñ rahguzāroñ se
baat jab bhī chhiḌī mohabbat kī
ḳhāmushī bol uThī mazāroñ se
ek bhī āftāb ban na sakā
laakh TuuTe hue sitāroñ se
shām-e-ġham bhī guzar ga.ī hai 'zafar'
khelte khelte ġhubāroñ se