jo hurūf likh gayā thā mirī aarzū kā bachpan
unheñ dho sake na dil se mirī zindagī ke sāvan
vo jo din bikhar chuke haiñ vo jo ḳhvāb mar chuke haiñ
maiñ unhī kā huuñ mujāvir mirā dil unhī kā madfan
yahī ek aarzū thī ki mujhe koī pukāre
so pukārtī hai ab tak mujhe apne dil kī dhaḌkan
koī TūTtā sitāra mujhe kaash phir sadā de
ki ye koh-o-dasht-o-sahrā haiñ sukūt-e-shab se raushan
tirī manzil-e-vafā meñ huā ḳhud se āshnā maiñ
tirī yaad kā karam hai ki yahī hai dost dushman
tire rū-ba-rū huuñ lekin nahīñ rū-shanās tujh se
tujhe dekhne na degī tire dekhne kī uljhan
'zafar' aaj dil kā aalam hai ajab maiñ kis se pūchhūñ
vo sabā kidhar se aa.ī jo khilā ga.ī ye gulshan