Gauhar Usmani

KHwab tere hain ye KHwabon ka nagar tera hai

Gauhar Usmani

Moradabad, Uttar pradesh, India

1924-2004
ḳhvāb tere haiñ ye ḳhvāboñ kā nagar terā hai
zikr-e-anfās meñ har shām-o-sahar terā hai
jalva har-gām sar-e-rāh guzar terā hai
aañkh merī hai magar husn-e-nazar terā hai
be-irāda jo uThe haiñ vo qadam mere haiñ
be-mahābā jo guzartā hai safar terā hai
merī be-rabt duāoñ ko rasā.ī de de
lafz mere haiñ magar bāb-e-asar terā hai
zindagī kahtā huuñ maiñ jis ko zabāñ meñ apnī
vo safar merā sahī izn-e-safar terā hai
sarhadeñ haiñ mirī nazroñ kī ye mehr-o-mahtāb
aur un se bhī jo aage hai vo dar terā hai
nasl-o-mazhab kī koī qaid nahīñ hai 'gauhar'
zikr har lab pe ba-alfāz-e-digar terā hai
Top Urdushayar.com